Monday, June 30, 2014

Get Money Online with payoneer

Welcome:
oDesk ya freelancer say income ke wasoli kay liye log payoneer ka istmal kertay hen yeh bahot he asan aur dilchasp hai. Aap oDesk ya freelancer per kam kiye baghair direct Payoneer say kmai ker saktay hen. Aaiye is post ko perhiye aur janiye hum kis tarah say oDesk aur freelancer say income wasool ker saktay hen.
Aap log payoneer kay zariye dunya men kahen bhi kisi mulak men bhi paisay
niklwa sakty hen. Payoneer aik bahot waseh network hai aur aap is kay zariye bahot aasani say income wasook ker saktay hen. Aap oDesk pay kam kerain ya Freelancer pay aap Payoneer kay zariye apni income wasol ker sakty hen kyun kay payoneer pehlay say he oDesk aur Freelancer kay sath munsalik hai jab aap oDesk ya Payoneer say income wasool kernay krny kay liye kahen gay to woh aap ko do ya teen option den gay jis men Payoneer bhi shamil hai is liye aap wahan say Payoneer ko select ker kay income wasol ker saktay hen.
Sab say dilchasp bat yeh hai kay aap payoneer sy jitnay marzi paisay niklwa saktay for example 2$ bhi agar aap nklwana chahen to nklwa saktay hen. Payoneer aik online bank hai aur yeh mukhtalif websites per kam kernay walay afrad ko income wasool kernay men madad deta hai is kay ilawa online shoping bhi ke ja sakti hai.
Payoneer kay zariye aap nah sirf income wasool ker saktay hen balkay aap is kay zariye kmai bhi ker saktay hen. Jab aap direct payoneer per regsiter hotay hen to payoneer aap ko kisi kisam ka koi bonus nahi deta lekin jab aap payoneer per kisi refferal link kay zariye registier hotay hen to payoneer aap ko 25$ bonus deta hai. Lekin bonus usi sorat men dia jay ga agar aap kisi refferal link kay zariye regiser huay hen otherwise aap ko bonus nahi milay ga.
Lets start from here!
NOTE: Payoneer per registration bilkul free hai.
1. Payoneer per account create kernay kay liye yahan click keren.

Apna nam , address , E-Mail Id, ID card number etc. account create kertay waqat jo kuch bhi aap say pocha jaye sab sahi sahi likhen otherwise aap ka Credit Master Card ap tak nahi pohncahy ga.
2. Ab aap step 2 per pohnch gaye hen Payoneer team aap ke de gyi infomation check keray ge is kay baad aap ka account approve kia jaye ga. Is process men 3 din lag saktay hen.
3. Ab aap step 3 men hen aap ka account approve ho chuka hai. Payoneer aap ko Master Card bhejay ga. Is card kay zariey aap kisi bhi ATM machine say jo Master Card ko accept kerti ho us say kisi bhi time paisay niklwa saktay hen. Yeh card aap kay pas 10 ya 12 din kay ander pohnch jaye ga.
Jab aap ka Master Card aap tak pohnch jaye to apnay Payoneer account men login ho ker diye gaye box men Master Card per darj ID number likhen. Is say aap ka Master Card active ho jaye ga.
NOTE: Master Card active kernay kay liye aap kay account men 12$ honay zruri hen.
Jab aap account men sign in hon gay to aap ko aik  Refferal link dia jay ga. Us link kay zariye jab koi bhi Payoneer per register ho ga to aap ko 25$ milen gay is tarah aap payoneer say ziada say ziada kmai ker saktay hen. Payoneer aap ko her step bazria E-Mail inform kerta rahay ga.
Aap oDesk aur Freelancer say kisi bhi waqat apni income Payoneer account men transfer ker saktay hen aur Payoneer say aap kisi bhi time apnay Master Card men transfer ker kay ATM machine say nklwa sktay hen.
Is kay ilawa is blog ke deger posts darj zail hen.
1. Blog ya website kay zariye paisay kamana. (agar aap blog ya website per kam ker saktay hen to is option per click keren. yeh job nahi balkay buisness hai jo kay bahot he asan hai.)

 2. Freelancer pay online kam kerna (Note: yeh oDesk ke tarah ke site hai jo kay oDesk ke nisbat waseh hai. agar aap kay pas internet conection high speed hai to aap yeh option choose karen otherwise oDesk aap kay liye behter rahay ga)

 3. oDesk pay online kam kerna. (agar aap online job kerna chahtay hen to is optioin pay click karen)

Is kay ilawa ager aap ko kisi bhi qisam ka koi masla ya ho ya koi sawal ho to nechay diye gaye comment box men comment karain men aap ko jald say jald is ka jawab denay koshish karun ga. (Shukriya)

No comments:

Post a Comment