Monday, June 30, 2014

How to make a blog or website

Earn Money With Bloging And Making Websites.
Blog ya websites kay zariye paisay kamana.
Is post men aap ko Blog bananay aur paisay kamanay ka mukamal tareqa dia gya hai. Is blog men aap ke dilschaspi ka shukria. Yeh blog logon ke rehnmai kay liye banaya gya hai. Ta kay logon ke mushkilat ko door kia ja sakay.
Aap log jantay hen insan jo kam bhi karta hai us kay pechay
koi nah koi maqsad chupa hota hai. Internet per jo mukhtalif websites ya blog bnaye gaye hen un ka bhi aik maqsad hay. Woh yeh kay woh is blog ya website kay zariye peaisay kamana chahtay hen.
Yeh kam koi itna mushkil nahi hay.Yeh kam bahot he asan hai yeh blog bahot he mukhtasr hai aur aap is blog ka mutalia kerny say Internet aur websites ko samajh jayen gay aur is qabil ho jayen gay kay aap online kam ker kay bahot sa paisa kama saken. Is say aap log itna paisa kama saktay hen jitna aap ko outdoor job say bhi hasil nahi hota. 20,000      25,000 ya 30/35000 aap asani say kama sakty hen. Web site bnana ya blog aik he kam hai website kay zariey aap ziada paisay kma saktay hen jab kay blog kay zariey thoray kam. Is ek waja yeh hai kay blog free men bnaya jata hai aur website kay liye domain kharedni parti hai.
Jab aap log website ya blog bnaty hen to bahot c companies or websites hen jo aap ko add deti hen jinhen aap apni website ya blog pay show karen gay to aap ko is kay liye paisay diye jayen gay. Jab bhi koi visitor us add pay click keray ga to aap kay account men paisay transfer ker diye jayen gay. Sab say ziyada mash'hoor google adsense account hay jo aap ko apni website  ya blog per add (advertisement) show kernay kay liye deta hai. Aur aap ko her click per pay kerta hai. Yeh raqam direct aap kay bank account men transfer ke jati hai. Jisay aap jab chahen niklwa saktay hen chahay aap kisi country say bhi tal'luq rakhtay hon.
Bahot c domains hen jo aap ko blog bnany ke offer deti hen lekin meri search kay mutabiq sab say achi domain blogspot.com hai. Kyun kay yeh pehlay say he google adsense say conected hai. Aur aap ko google adsense  say direct conecting link deti hai.
1. Blog create kernay kay liye aap ka google account / gmail account hona zaruri hai. Ager aap kay pass google acount nahi hai to is link per click ker kay google account create karen.


2. Account bnanay kay bad www.blogger.com visit karen aur google account kay zariye SignIn ho jayen.

3. Apnay blog ka nam tajveez karen jaisay a-zrupee.blogspot.com
   (Note: blogspot.com ka nam aap ko bloger ke taraf say dia jaye ga jo kay domain name hai. aap sirf blogspot.com say pehlay apnay blog ka nam day saktay hen. Jesay meray blog ka nam a-zrupee hai.
Blog ka nam us information ya data kay mutabiz hona chahiye jo aap is blog pay dena chahtay hen. Blog name yeh show kerta hai kay aap blog kis cheez kay mutal'liq bna rahay hen.
4. Blog bnanay kay bad daily kuch nah kuch post karen jab aap ka blog mash'hoor ho jaye to google adsense account kay liye apply karen. Jab google adsense acccount aprove ho jaye ga to aap google adsense account kay zariye apnay blog per add show ker kay paisay kama saktay hen.
Bloging ya website making aik buisness hai nah kay job.
Is kay ilawa aap mandrja zail tareqon say online paisay kama saktay hen. Yeh tareqay sab say asan hen aur 100% guarantee hai. Ager job kerna chahty hen to nechay diye ge websites kay bary men full information hasil karen aur job start karen.

1. oDesk pay online kam kerna.

2. Free Lancer pay online kam kerna. 

Ager aap ko kisi bhi kisam ka koi swal pochna ho ya help ke zrurat ho to aap nechay diye gaye comment box men comment keren, men jald say jald aap ke rehnmai kernay ke koshish karun ga. (Shukria)

No comments:

Post a Comment