How to do work on oDesk?
oDesk pay kam kesay kia jaye?
What is oDesk?
oDesk kia hai.?
How to earn money with oDesk?
oDesk kay zariye paisay kesay kamaye jayen?
Bahot say sawalat hen jin ka jwab aap meray is blog men jan payen gay. oDesk pay kam kerna aur oDesk kay zariye paisay kamany ka mukamal tareqa meny is post men bta dia
hai. Aap asani say is post ko perh kay oDesk pay kam ker saktay hen. Yeh bahot he aasan hai. Is blog men posts bahot he mukhtasar de gyi hen ta kay aap log aasani say perh saken. Itni mukhtasar bhi nahi hen kay aap ko kam ko samajh he nah saken.
Meray is blog men aap ke dilchaspi ka shukria. Is blog ko aap ke rehnamai kay liye her tarah say mukamal kernay ke koshish pori koshish ke gyi hai. Her insan ghar bethay bethay kam ker kay Income hasil kerna chahta hay. Aur men nay taqreeban 1 sal ke search kay bad aisi website talash ke hay jis pay aap part time ya full time job ker saktay hen aur outdoor job say ziada kamai ker saktay hen.
Men nay her website pay kam kea aur bahot waqt zaya kia lekin itna kuch hasil ho he gaya kay aap logong ke rehnmai ker sakun takay aap log meri tarah pareshan nah hon aur Online job talash nah kerni paray. Isi liye men aisi website day raha hon jahan aap register honay kay bad foran kam shuru ker saken.
oDesk aisi website hai jis pay pehlay 10 din kam ker kay menay 90$ kmaye. Aap log chahay jis country say bhi tal'luq rakhtay hon aap oDesk pay kam ker kay Income hasil ker saktay hen. oDesk aisi website hay jahan log mukhtalif projects daitay hen aur oDesk pay kam kernay walay in projects ko complete kertay hen. Project kay liye raqam pehlay say muqarar ker de jati hay. Project ke detail men aap yeh jan saktay hen kay kia kam kerna hai aur kitnay dino men kerna hay aur is kam kay kernay per aap ko kitnay paisay milen gay. Ager aap ko kam pasand aaye to aap us project per bid ker saktay hen. Aap jo project bhi complete kertay hen us ke checking kay bad aap ko foran paisay mil jaatay hen.
Jo log oDesk pay apna project post kertay hen un logon say paison ke wasoli ke zimadari oDesk ke hoti hai. Aur woh raqam oDesk account men jama ho jati hai. Jisay aap jab chahen niklwa saktay hen. oDesk account say raqam hasil kernay ka tareeqa men dosri post men tafseelan byan ker chuka hon. Tareqa jananay kay liye is link pay click karen.
oDesk pay woh log kam ker saktay hen jo computer kay kisi software men mahir (expert) hon. oDesk pay mojod kamon men say kuch kam darj zail hen.
Website banana, Inpage men kam kerna, excel men kam kerna, word men kam kerna, datebase men kam kerna, powerpoint men kam kerna, coral draw men kam kerna, website design kerna, adobe photoshop men kam kerna, advertising kerna aur latadad kam hen jo aap oDesk pay ker sakty hen.
1. oDesk pay register hon.
2. Apni profile complete karen.
3. Jo kam aap ko ata hai us kay mutabiq (oDesk site men he) project search karen.
4. Project pay click ker kay project ke detail check karen.
5. Ager aap wo kam ker saktay hen to us project pay bid karen.
Aik project pay kyi log bid ker saktay hen lekin kam kisi aik ko milay ga.
1. Blog ya website kay zariye paisay kamana. (agar aap blog ya website per kam ker saktay hen to is option per click keren. yeh job nahi balkay buisness hai jo kay bahot he asan hai.)
2. Freelancer pay online kam kerna (Note: yeh oDesk ke tarah ke site hai jo kay oDesk ke nisbat waseh hai. agar aap kay pas internet conection high speed hai to aap yeh option choose karen otherwise oDesk aap kay liye behter rahay ga)
Ager aap ko kisi bhi kisam ka masla ho to aap nechay comment box men comment ker saktay hen men aap kay her sawal ka jawab jaldi say jaldi denay ke koshish karun ga Shukria.

Very Nice blog keep it up.
ReplyDelete